Friday, 10 April 2015

Aakela ki Inayat

zindaa hun zamanae ke liye,
ise duhaii na samjhnaa...
Ishq me dubaa hun khudse,
ise khudaii na samajhna....
Yun toh maartein hai roj koi na koi aashik iss zamane me,
Iss hakikat ko,
apna inayat na samajhnaaa......

Wednesday, 8 April 2015

Aakela ki Ek Junoon

Ek junoon h mujhpe yun chah raha,
Ekamsa saara jamana kahin sa h ja raha, Ghoom raha tha wadio me kahin,
Aab aasmaan ko hun chune jaa raha....

Aakela ki Maasoomiyat

Jaab nazrein milli hamari unse,
Toh shaam sazh gaaye hamare;
Harkatein kuch yun hui hamari,
Sambhal na paaye haam khudse;
Alfazein kuch yun thi hamari,
Samajh na paaye haam ekamse;
Aarzoo kuch yun ho gaye hamare,
Kuch keh na paaye haam unse;
Khoobsoorat tha unka woh hasheen chehra,
Kaise batatein haam yeh unse;
Jannat ki afsaara laag rahin thein woh,
Keh na paaye yeh haam unse;
Baatein toh kuch yun hui hamari unse,
Jaise maasoomiyat tapak rahin ho jinse;
Alfaaz kuch yun ho gaaye the hamare,
Jaise Aakela kho gaaya hai unse.....

Tuesday, 7 April 2015

Aakela ki Ishq (Punjabi)

Ishq te vadia hor malai ni hunda ae,
Aamrit naal vadia hor duhai ni hunda ae,
Je de koi aashiq pyaar naal na doobe,
usde vadiaa hor rooswai ni hundaa ae....

Monday, 6 April 2015

Aakela ki Ek Jaam

Woh jaam hi kya jisme nasha na chaaye,
Duniyaa to yuhi gaam me madeera paan karti hai,
Warna jeewan to swayam ek jaam hai,
Jo bina piye logon ko fariyad karti hai.....

Aakela ki Paschataap

Gunahon ko yunhi maaf nahi kiya jaa sakta,
Jis tarah ganga me dhone se bhi khoon ka aasli daag saaf nahi ho sakta,
Yun to duniya me to bohot paap karte hain log,
Par yadii hakikat na hoti to bagwan bhi apni galtio ka paschataap nahi kar sakta.....

Aakela ki Inayaat

Dil ki inayaat insaan nahi jaanta,
Jiss tarah Mooraat hasna ya bolna nahi jaanta,
Yun toh ashiyano me reh letein hain log,
Par jo dil me hote hain unko to khuda bhi nahi jaanta......

Aakela ki Aarzoo

Arzoo hai hamari us haseen Chehre ka deedar ho sake,
Khuda se duhai hai kash ye ek baar ho sake,
Maar ke bhi to jeetein log iss jaamane mein,
Kaash isi duhai me aakela ki fariyaad ho saake......

Aakela ki Deedaar


Naaksh thi unki yun ki haam uhne besumaar yaad kiya karte the;
Dil ki dhadkan ko apne thaame khudse ye ikraar kiya karte the;
Jaab ru-ba-roo hota tha unka wo haseen chehra,
Toh khuda ko taahe dil se sukriya aada kiya karte the;
Lafz na hootah tha hamare paas jaab saamne aa jaati thi woh,
binaa kuch kaahe,
Saab kuch ka izhaar kiya karte the;
Yun toh poora mohalla tha unke haseen chehre ka deewana,
Par nahi mil paaya unhe Aakela sa koi aur aashiyana....

Aakela ki Ek Muskaan

Ek muskaan thi,
Paudhe pe pahli oos ki boond sii kuch baat thi,
Ek muskaan thi,
Suraj ki pahli kiran sii kuch nai sii baat thi,
Ek muskaan thi,
Gulab ki pankhurio ko chune se alag sii kasmasahat waali ehsaas waali baat thi,
Ek muskaan thi,
Pahli baris ki pahli boondon ki khusubuon sii kuch naai sii baat thi,
Ek muskaan thi,
Sagar me tairte pathar sa kisi ki jeene ki naai aas waali baat thi,
Ek muskaan thi....

Aakela ki Intezar

Unki adao ka aasar hampe is kadar chaaya ki haam apni pehchan bhool baithe,
Aakhon ko thaame apne zamane ko dekhna bhool baithe,
Thandi fizao me unki raah taakne ka hai aalag hi maaza,
Warna kisi bimari me itna zurat hi kaha jo ham apna chai bhool baithe....

Akela ki Ruswaii

Kuch alfaz iss Kadar the ki,
Simat se gaye lafzon taak aate aate,
Kuch lamhe iss Kadar the Ki,
Behak se gaye palkon taak aate aate,
Yun toh Yadoon ko Alfzon se samete firta hai zamana,
Sayad yahi kamii thi Aakela me ki yun mukar sa gaya hai usse zamana......

Aakela ki Ek Tamanna

Tamanna thi hamari kuch iss kadar,
Kaash deedar ho jaaye unkaa woh hasheen chehra,
Aarzoo thi hamari kuch iss kadar,
Khwabon me hi thaam na jaaye unkaa woh hasheen chehra,
Kalpana thi hamari kuch iss kadar,
Kewal yadoan me hi reh na jaaye unkaa woh hasheen chehra,
Eikchaa thi hamari kuch iss kadar,
Lafzon taak aatin rahein unke naam ka woh hasheen chehra,
Dua ki khuda se kuch iss kadar,
Thaam na jaaye unke naam se koi aur haseen chehra,
Fariyaad ki khuda se kuch iss kadar,
Baan na jaaye unke naam ka koi aur hasheen chehra...

Akela ki Ishq

Waqt ke paimane me,
Alfaz Yun the unke,
Nakhs-ae-Nakab the,
Madeera sii kaam the jinke,
Hurr-ae-paari thi,
Aadaa Yun the jinke,
Samandar-ae-sailab thi,
Akela ki ekraar thi jinse......

Akela ke Alfaz

Kehta hai zamana hum dusroo ke alfazon ko apna ektiyar kartein hain,
Bhool gaya hai zamana ki Akela ke naam se hi haam fariyad kartein hain,
Kuch lafz ek hue to kya huaa,
Paar samandar me tairne ka hunar to haam bhi bakhoobii jaantein hain......





Akela ki Fariyaad

Yun to akela Sa rehta hai zamana,
Par iss pagal ko bhala kya samjhega zamana...
Fakir sa hai Akela iss zamane ke liye,
Data Ki karam hai zindaa hai iss zamane ke liye....
Jivan ka mol kya samjhega insaan,
Maut ko khel jo banaye hai insaan...
Darr us maalik se Jo saara jamana manage Karta hai,
Ek do Sikkon ke kaam hone se bank gareeb nahi hota hai...